Pakistan Bharat Tanaav 2025: Maujooda Surat-e-Haal |
International community, khaas tor par United Nations aur China, dono mulkon ko tahammul aur mozakraat ka mashwara de rahi hai. Magar filhal dono taraf se sakht bayanat aa rahe hain. Security agencies ne sarhadi ilaqon ke logon ko mehfooz maqamaat par muntaqil hone ki hidayaat de di hain.
Islamabad aur New Delhi dono mein awami majlison aur rallyon ka silsila jaari hai. Social media par afwaahen barh rahi hain, is liye hukoomat ne awaam se appeal ki hai ke sirf mustanad zaraye se maloomat hasil karein.
Sarhad par trade aur tourism bilkul band ho chuka hai, aur economy par bhi iska asar pad raha hai. Aam log, khaas tor par Kashmir aur Punjab ke ilaqon mein, apni safety ke liye tayyari kar rahe hain.
May 2025 mein Pakistan aur india ke darmiyan sarhadi kashidgi mein khatarnak izafa hua hai. Pakistan Bharat jang 2025 ke hawale se dono mumalik ne apni afwaj ko high alert par rakh diya hai aur sarhadi ilaqon mein bombari aur shelling ke waqeat bhi report ho rahe hain. Aisi surat-e-haal mein awami agahi aur hifazati tadabeer apnana nihayat zaroori hai.
Is blog mein hum aap ko mustanad aur asaan alfaaz mein woh tamam iqdamat batayein ge jo aap ko apni aur apne khandan ki hifazat ke liye karne chahiyein, khaas tor par Pakistan Bharat jang 2025 ke pesh-e-nazar:
Mobile Phone ki Tayari- Apna mobile hamesha full charge rakhein.
- Call aur WhatsApp ka package active rakhein taake hungami rabta mumkin ho.
- Cyber Attack se hoshyar rahe kisi b social link ko click mat karen nh kisi post ko kuch advance settings kr k rakhein apne data ki safetyk lie
- Apne family members aur qareebi azeezon ka ek WhatsApp group banayein taake sab ka haal ahwaal pata chalta rahe.
- Bombari ya shelling ki surat mein qareebi bunker ya basement mein chale jaayein.
- Agar bunker na ho to mazboot chhat ke neeche rahain aur darwazon, khidkiyon se door rahain.
- Agar aap khule aasman tale hon to zameen par oondhe munh let jaayein.
- Dono haathon se munh ko dhaank lein aur kehniyon ko pasliyon ke gird kar lein.
- Kam az kam ek haftay ka pani aur dry food zakheera karke rakhein
- Apni motorcycle ya gaari mein munasib miqdaar mein petrol hamesha mojood rakhein.
- Ibtidai tibbi imdaad ka saman (First Aid Kit) apne paas zaroor rakhein
- Shelling ya bombari ke doran idhar udhar mat bhaagein.
- Apne hawas par control rakhein, afraatfri aur bhagdarr se bachein.
- Ambulance, qareebi hospital aur doosre emergency numbers mobile mein save rakhein.
- Agar koi shakhs aap ki madad ka mohtaj ho to hatta-ul-imkan uski madad karein.\
- Jaise hi moqa mile, apni family ko mehfooz maqam par muntakil karein.
- Apne ird gird mashkook afraad par nazar rakhein aur foran maqami hukam ko ittila dein.
Pakistan India jang 2025 ke is naazuk waqt mein yaad rakhein, sab se badi taqat aap ka hosla, hoshyari aur ittehad hota hai. Bara-e-karam afwahon se bachein aur sirf mustanad zaraye se khabrein hasil karein. Mazeed maloomat aur updates ke liye hamari website ASi Tech (https://www.asitech.site/) par visit karte rahain.
Allah Pak hum sab ki hifazat farmaaye. Aameen.